Pages

Friday, 31 October 2014

Laila Khan murder ...... Mistry continues

      Heart Beating Murder Story Laila Khan...



Next scene                OUTSIDE NDIR HOUSE                       

Nadir patel standing in front of media…media person questioning him…
Reporter—police apke paiwar ko dhundhane ke liye kya kar rahi hai…
Nadir—iss case ke prati police ka rawaiya dhila dhala hai…kai mahine bit jane ke baad bhi wo iss case ko serious nahi lerahi hai….

OUTSIDE OSHIWARA POLICE STATION             

Media is questioning PSI Baane… there are huge gathering of media person…

PSI Baane— dekhiye humlog hath pe hath dhar ke baithe nahi hai… investigation jari hai…. jaldi hi police natije pe pauchegi…

Camera pans we see… one reporter reporting in front of camera…

Reporter— laila khan pahli baar 2008 mein surkhiyon mein thi jab usne superstar rajesh khanna ke opposite behad charchit film wafaa mein kaam ki thi… halaki film koi khas safal nahi huyi thi… 2011 ab ek baar fir laila khan surkhiyon mein hain par iss baar kisi film ko lekar nahi balki apne puri family ke saath kai mahino se gayeb hone ke wajah se…. police ko abhi tak iss case se judi koi khas saflta nahi mil payi hai…. lekin police dawa kar rahi hai ki wo jald hi iss case ki guthi suljha legi… main himanshu singh cameraman ashok tiwari india tv mumbai…

                        RAKESH SAWANT OFFICE                     

Rakesh sitting in his office… a reporter questioning him…

Reporter— aap laila khan ke sath charchit film wafa mein kaam kar chuke hai wo apki film ki heroine rah chuki hai… apko kya lgta hai… laila khan aur unki puri family ke gayeb hone ke piche kya raj ho sakta hai…

Rakesh— dekiye mujhe to jada kuchh maloom nahi hai… ha abhi muje Kashmir jane ka mauka mila jaha maine apni alubum “love in Kashmir” ki shhoting ki… waha par mujhe kuchh news mili ki yaha pe laila ki gadi mili hai… yaha se police inquiry karne gayi thi bombey… mujhe kuchh to gadbad lag raha hai… kuchh to huya hai unke saath…


Laila khan case mein December 2011 mein ek naya khulasa huya ki laila khan ke igatpuri farmhouse ko ardh jali huyi halat mein dekha gya hai… mumbai se 130 km dur nashik distric ke igatipuri mein isthit ye wahi bungla hai… jaha laila khan ka pariwar humesha chhutiya manane jaya karta tha… oshiwara police aur laila khan ke pita nadir shah patel bungle ki muaiyena ke liye rawana huye….

                         ON THE HIGHWAY                          

Police vehicle running on the road…PSI Baane and crime inspector sunaina nate sitting with nadir…in second shot we see a mile stone…written…
“nasik 90km Igatpuri 34 km”


                   ON THE NARROW

Police vehicle turns from highway to a narrow road…after covering a distance vehicle reaches to a mudy house…a man Prkash navsoo magla (age?) standing doing agriculture work…he looking at police vehicle…

PSI Baane—prkash navsoo ka ghar yahi hai…?

Prakash comes to him…

Prakash—saheb mera hi naam prakash navsoo hai… kya baat hai saheb…

PSI Baane—laila khan ke bungle pe chalna hai awo baitho…

Prakash— jee saheb…

Prakash sits in the vehicle… vehicle goes away…

              IGATPURI BUNGALOW GATE                        

Police vehicle reaches to the big gate of a double story bungalow with big boundry wall… situated in a small hill station… PSI Baane and crime inspector sunaina nate get down with nadir & prakash from vehicle…prakash opens the main gate…police team goes inside…

                   IGATPURI BUNGALOW LAWN                    

Police team crssoing the lawn area….with nadir & prakash… they go inside the bungalow…  

            IGATPURI BUNGALOW GROUNDFLOOR               

As police team enters in the bungalow hall…they see there is a big hall attached with a big kitchen…is half burnt….then police team goes up the stairecase…

         IGATPURI BUNGALOW FIRSTFLOOR                 

Police team reaches on first floor…and sees… there is a hall with two bed rooms  in half burnt condition… glass of windows is broken and spreaded over whole floor…police walk all aurund and interogetes 
 prakash…

PSI Baane—prakash… igatpuri police ke anusar tum pahla sakhsh ho jo bungle ko jalte huye dekhe ho…

Prakash—jee sahib… us din karib char baje saam ko main kalyan se kaam karke ghar lauta tha… meri patni ne bataya ki laila jee ke bungle se dhuaa nikal raha hai…tab main khud yaha akar bangle ko najdik se dekh tha…issi bed room se dhuaa nikal raha tha… saari chije jal kar khak hogayi thi… ye khidki ka shisa bhi tuta pada tha…


PSI Baane—fir tumne iski jankari kisko di…

Prakash—main ghar laut kar asif seth ko phone kiya…

PSI Baane—asif… ye asif seth kaun hai…

Prakash— laila jee ki maa shelina madam ka pati…

PSI Baane— unka pati tou ye hain…

Prakash— pata nahi sahib…lekin shelina madam ne unko apna pati 
bataya tha…

PSI Baane— khair chhodo… ye bato fir kya huya…

Prakash— asif seth do din baad mere ghar aye… aur fir humlog bangle dekhne yaha aye… asif seth ne bungle ki photo nikali aur igatpuri police station mein complaint likhwayi…

CI Nate— yaha bungle mein laila khan ke alawa kaun rahta tha… ya kaun kaun ata jata tha…

Prakash—saheb 2007 mein main yaha ek saal tak watchman ka kaam kiya tha…t ab kabhi kabhi do teen din ke liye laila jee apne maa bhai bahen aur asif seth ke saath yaha rahti thin…

CI Nate— iss saal 2011 mein… January February mein koi aya tha yaha… rahne ke liye…

Prakash— sahib jab mujhe kalyan mein naukari lag  gya to main yaha kaam chhod diya tha… lekin selina madam jab bhi yaha bungle pe ati thi mujhe apne seva ke liye jarur bulati thi…january mein wo asif seth ke saath ayi thi…unke saath ek kasmiri laadka bhi tha…

PSI Baane—us ladke ka age lagbhag kya hota oga…

Prakash—yahi ko 30 35 saal… uske baad fir shelina madam us ladke ke saath hi yaha ati thi aur 7 8 din rah ke chali jati thi… ek din kashmiri ladka ek dusre kasmiri ladke ko laya tha aur purane watchman ko nikal kar naye ladke ko kam pe rakh liya tha…

CI Nate— shelina madam last baar kab bungle pe ayi thi…

Prakash—april ke pahle hufte mein… wahi kashmiri ladka unke saath tha… wo do teen din rahi fir chali gayi…s aath mein kashmiri watchman bhi chala gya… jate waqkt unhone apna Scropio ko mere darwaje pe thodi der ke liye rukaya tha… mere patni se unki baat chit huyi thi…

CI Nate—kya baat chit huyi thi….?

Prakash— shelina madam mere patni se boli  ki… wo Kashmir saadi mein jaa rahi hain… isliye wapis aane tak bungle ka dhyan rakhne ko bol rahi thi… iske baad wo chali gyi… unke jaane ke baad fir is bungle mein koi nahi aya… ek hufte baad fir pata nahi kaise yaha aag lag gayi…

Nadir—saheb main kah raha tha… asif kuchh bhi karwa sakta hai… ye kashmiri ladka uska hi koi dost hoga….mujhe shaqk hai kahi mere pure pariwar ko khatam na kar diya gya ho….

PSI Baane—nadir sahib ye to abhi batana mushkil hai… but bahut jald  saari sanchayi samne hogi… humlog J&k police ke sampark mein hai… kashmiri ladke ke baare mein unko intla kar denge… agar kuchh hoga to jald samne ayega…

They comse out from bungalow…


(anchor comes on bank of lake… a black Scorpio standing behind him… some J&K police checking the car)

Laila khan ke car ko Srinagar mein lawarish halat mein baramd hone ke baad jammu kashmir police us car ko atankwadi gatividhiyo se jod kar dekh rahi thi… unko shaqk tha ki atankwadiyon dwara delhi high court bomb blast aur mumbai ke mahtwapurn jagho ke rekky aur anya gatibhiyon ke liye is car ko use kiya gya hai…iske baad January 2012 mein anti terrorism squad AST Maharashtra  laila khan case ke chhan bin mein jut gayi…2011 se 2012 ho gya…saal badla… par laila khan aur uske family ke rahsmayi gumshudagi ka raaz 11 mahine baad bhi barkarar tha…

Caption: “28th may 2012” “Mehta Road, kishtwar, J&K”
There is gathering out side of a shop (like shade)…a Mitsubishi Outlander car (MH02-AY-7867) is parked inside… the car is covered with dust…. J&K police investigating the fact… and interrogating a man named mohmmad sarif kelam alias guddu kelam (age-?)
Inspector-ye Maharashtra number ka car kiska hai… kaha se aya ye car..?

Guddu—sir mujhe nahi maloom…

Inspector—to kis ko maloom hoga… aa…

Guddu—sir prevez ko maloom hoga… usne hi ye mera dukan kiraye pe uthaya hai…

Inspector— ye prevez kaun hai…?

Guddu— prevez iqbal tak… maran gaon ka rahne wala hai sir…

Inspector— wo prevez… (remembering…) wo to wanted hai… police uske pichhe lagi hai… wo kaafi din se farar hai…

Guddu—sir ye dukaan usi ne mujh se rent pe uthaya tha… lekin humesha wo ise band hi rakhta tha… mujhe kya pata ki usne dukan ke andar koi gadi chhupa ke rakhi hai…

Inspector—tum malik ho na iss dukan ka …tumko to pata hona chahiye na… ki tumhra renter tumhare dukan mein kya rakhta hai… tumhare dukan se wo kya dhandha karta hai…ye tumhe jankar mein hona chahiye na…

Guddu—sir uske abba mujh se carpentry ke kaam ke liye dukan manga tha…uske abba carpentry ka kaam karte hai…

Inspector—tum jante ho na prevez pe police ko atanwadiyo ke liye kaam karne ka shaqk hai…tumne fir bhi usko apni dukan de di…

Guddu—galti hogayi saheb… mujhe prevez har mahine 800 rupaye barabar se bhejwa deta tha…

Inspector—tumko to bas kiraye se matab tha… bhale tumahar duakan kiraye pe lene wala adami tumahre dukan se atankwadi sangathan chata ho…
This time guddu doesn’t reply…

Inspector—(to SI) maharastra ATS ko contact karo…aur unko iss gadi ka number dedo… aur unse pata karne ke liye bolo ki… kahi iss gadi ka maharastra mein koi crime se relation to nahi hain…

SI—ok sir …sir ye prevez unhi teen logo mein se ek hai… jinka delhi high court bomb blast mein haath hone ka police ko pura pura shaqk hai…

Inspector—we baaki do bhi yahi kisthwar se talluk rakhte hai…ek baar prevez haath lag jaye baaki bhi pakde jayenge…

                 J&K KISHTWAR POLICE STATION                  

An old man Mohammad amin tak (age?) prevez’s father and shakir sheikh (age?) are in police station infront of Inspector… a few constable and ASI standing there…

ASI—sir ye prevez ka balid hai… mohammad amin tak naam hai iska…

Inspector—kaha hai prevez…?

Old—hujur…sahib mera beta mere haath se bahar hai…uska koi ata pata nahi hai saheb… ghar pe do itne bade bache hai…ek to do mahine phale jaanm liya hai…
Inspector—atapata nahi hai tou bache kaise paida kar leta hai…

Old—pata nahi sahib saal bhar se usko dekha nahi hai…main to ghar ke ek kone mein pada rahta hun… wo ata hai ya nahi mujhe kuch malom nahi… jab se election mein uski har huya hai wo ghar chhod diya hai…

Inspector—maloom hai na uske oopar darjano thagi dhokhadhadi ka mamla darj hai…ye dusra kaun hai…?

ASI—sir ye shakir sheikh hai…prevez ka khas dost hai…

Inspector—kaha hai prevez…tumko tou jarur maloom hoga…

Shakir—nahi sahib mujhe kuchh nahi maloom…ha wo kabhi kabhi mujhe phone to karta hai…par kuchh batata nahi sahib ki kaha hai kya kar raha hai…

Inspector—prevez ke ghar ka puri taalasi lo…aur shakir ke mobile ko sarvilance pe daal do…

ASI—ok sir…

Inspector—inko abhi filhal chhod do…

ASI with md amin tak and shakir moves out… SI enters…

SI—sir…ATS mumbai ne car ke number ko confirm kiya hai…wo number ek mahila shelina patel ke naam se register hai…

Inspector—car kisi case mein waha involve hai..?

SI—sir jis mahila ka car hai wo apne pure paiwar ke saath February 2011 se hi mumbai oshiwara se gayeb hai… kucch mahine pahle sringar police ne uski dusri car ko Srinagar se lawaris halat mein baramd kiya tha…

Inspector—iska matlab car se koi to bada crime juda hai…mujhe iski booo to pahle se arahi hai…

SI—sir us mahila ke saath do kashmiri yuvak bhi the… jo saath mein wo bhi gayeb hain…

Inspector—insab chizo ki guthi prevez ke girftari se sulajh sakti hai…

SI—sir ATS mumbai ka ek team yaha car ke janch ke liye ane wali hai…

Inspector—ok…agar mere shaqk sahi hai tou prevez desh chhodd kar bhag sakta hai…

SI—tab tou uska pakdajana behad jaruri hai sir…
Insoector—saare thane ko prevez ke bare mein inform kar do…

SI-ok sir…

Fade out
                       J&K KISHTWAR SHOP                      

Caption: “7th june 2012”

There is gathering out side of shop…shelina’s car Mitsubishi Outlander (MH02-AY-7867) parked…the car is covered with dust….
Some J&K police and officer and mumbai ATS team are there…woner guddu kelam is also there…PI  B.S. Deshmukh head of ATS team…
Inspector—sir yahi car hai…

ATS Head—isko kholwayiye…

SI—(to constable) dekho kholo isko…
Constable trying …

Inspector—sir humlogo ne 28 may ko ek tip ke base pe iss dukan pe chhapa mara…aur ye car baramad ki…

ATS Head—jisne ye car iss dukan mein rakhwaya tha usk naam kya hai…

Inspector—prevez iqbal tak naam hai uska… uske upar forgery aur cheating ke darjano case darj hai… bahut dino se police uske pichhe padi hai lekin wo abhi farar hai…kuchh atanki gatividhiyon mein samil hone k bhi us pe shaqk hai…

ATS Head—tab to uski giraftari aur ahem hai officer…uske pakde jaane se bahut se raz khul sakte hai…

SI comes…

SI—sir car ka darwaja nahi khul raha hai…
 
ATS Head—garaze se mechanic ko bulaiye…

SI—ok sir…

SI goes out…

ATS Head—jitna jaldi ho prevez pakda jana chahiye…

Inspector—sir humlog jaldi hi usko pakad lenge…

ATS Head—aaplog IB ka madat le sakte hai…kisi bhi tarah prevez padkda jana chahiye….

Ispector—sir humne pure rajya bhar mein saare thane ko inform kara diya hai…taki wo desh se bahar na japaye…

ATS Head—good…

SI comes…

SI—sir mechanic aya par wo bol raha hai ki iss car ka lock kholna namumkin hai…

ATS Head—usko bolo window glass tod de…hume car ki talashi lena behad jaruri hai…

SI—ok sir…

They all move to car…mechanic breaks the glass…


(anchor comes on out side of shop)

Prevez farar tha us pe ataki gatividhiyo mein samil hone ka shaq tha…J&K police bahut din se uske pichhe lagi thi…par wo pakad se bahaar tha…Laila khan ki dusri car ki baramadgi aur fir ATS  mumbai ke dwara us car ke talasi ke dauarn paye gaye sabuto se saaf tha ki laila khan ke gayeb hone ke raaz se parde uthne wale hain…lekin iske liye prevez ka pakda jana behad jaruri tha… kai din bit gaye par prevez ka koi ata pata nahi tha…lekin ek din IB ke tip pe J&K police ne narwal ilake ke ek thikane par chhapa mara…waha prevez ka chhupe hone ka andesha tha…

No comments:

Post a Comment