लैला खान की आगे की कहानी। ..........................
SCENE5
OSHIWARA FLAT
There is 2 BHK flat…looking so decorated…laila khan with a young
boy Imran 25 and Zara 25 beautiful girl watching tv…elder sister Hashmina patel
32 reading magazine with a girl tulli 19…
mean time call bell rings…
Laila—dekho imran kaun hai…?
Imarn goes to open the door…
Imran—didi…abu hai…abu aye hai…
Laila runs…and all stand up…nadir comes inside…having sweet bag… imarn hugging him… zara goes and hugs him…
Zara—abu…kab aye abu Africa se…? (being happy)
Nadir—ho gaye kuchh din… ab tou main wapas bhi jaane wala hun…. kaise
ho tumlog beta…
Zara —sabhi thik hai abu… aap kaise ho…
Nadir goes and sit over sofa…puts the sweet bag on the table…
Nadir—thik hun… alha tala ka karam hai… abu ko kya hoga… ye lo
tumhari mithai…
Zara—kazu barfi… wow…
Nadir— ha beta tumlog to
janti hi ho… main humesha kazu barfi hi lata hun… janta hun mere bachon ko ye
mithai kitna pasand hai…
Zara—ha abu… mujhe bahut pasand hai…
Zara takes out sweet… and eats…
Nadir —are tulli tum…tum yaha kab aayi…
Zara— ab ye yahi humare saath hi rahti hai…
Nadir—tulli… tumhari aama… meri saali sahiba… kaisi hain…
Tulli—thik hain mausa jan…apko hi yaad karti hain…
Nadir laugh…. All laugh…
Nadir—ammi jan dikhai nahi de rahi hain…kaha hain…tabiyat to thik
hain na unka…?
Zara—abu asif apa aye hai… ammi andar room mein hai…
Mean time bedroom door opens… a 52 year old women Shelina Patel
comes out…a man 40 Asif Sheikh comes out also…
Nadir—bas abhi aya hun begam…
Nadir looking at asif…asif looks uncomfortable …
Asif—main nikal raha hun…jaruri kaam hai… bye bachhe log…
No one replying him… he goes out…
Nadir—kai baar kaha hai tumlogo ko…tum log iss sakhsh se dur
raho…tumlog mera baat sunte hi nahi…
Shelina—are jaane do imran ke abu… asif koi prêt shaitan nahi hai
jo humlogo ko kha jayega….
Nadir—main to jane dunga imaran ki ama… par ek din tumlog samjh
jaoge ki main kya kah raha hun…
Zara—ye sab chhodo abu…tension mat karo…iss ghar mein humesha
tension hi rahta hai…aur bato abu kya chal raha hai aaj kal apka…
Nadir—bas…chal raha hai…ab fir se Africa wapas…chod ke ghar vaar… karenge fir se
kapdo ka karobar….
Imran—abu to bahut sare paise kama rahe honge waha…wo bhi dollar
mein…
Nadir—beta mera dollar to tum sabhi pariwar log ho… khuda kare tum
log sahi salamat raho…bus…paisa to haath ka mail hai… sabse bada chiz ijjat
abru hota hai beta… wo ek bar gayi to fir nahi milti…
This time reactions of all is dull… they look like guilt person… we
see clearly regression on their face…
Nadir—beta reshma tumra kya chal raha hai…sorry ab to tumko log
laila khan ke naam se jante hai…tumlog mera baat nahi mane… naam badal liye…
Shelina—are film line mein reshma Fatima naam nahi chalta hai…uske
liye stylish naam hona jaruri hai…jnte
hi ho khano ko bol bala hai industry mein…
Nadir—reshma beta tumhara filmo ka kaam kaisa chal raha hai…
Laila—thik chal raha hai abu dusri film sign karne wali hun… uske liye meeting chal rahi hai…
Nadir—beta mujhe to film line se nafrat thi… lekin ye main nahi
janta tha ki aage chal kar mere bache hi iss line mein kaam karenge…thik hai
jab kadam badha hi di ho… to koi rokega nahi… par ek maswara hai…beta satark
rahna…ye film line bahut atpata line hai… mujhe yakin hai ki tum meri baat pe
gaur farmawogi…
All are silent…
SCENE 6
OSHIWARA POLICE STATION
Continue…
Nadir—main uske baad fir Africa wapas chala gya…jab main waha se
lauta to puri family ka koi pata nahi tha saheb…
PSI Baane— ye asif apke family ko kyo gayeb karega…
Nadir—sir uska nazar mere bibi shelina ke property par tha…mujhe
uske bevhar se lagta tha…mujhe lagta hai usne property hathiyane ke liye hi
kuchh kiya hai…wo galat dhang se shelina se property ke kagjat pe sign bhi kara
skta hai…
PSI Baane—dekhiye…aap thik se pahle apne relative mein pata
kijiye…pura pariwar ek saath kaise gayeb ho sakta hai…wo log kahi aur sift kar
gaye honge apke jaane ke baad…
Nadir—sir thik hai…apki baat ek minute ke liye manta hun…par meri
Saali ki beti kyo unke saath sift karegi bhala…wo bhi unke saath gayeb hai…
PSI Baane—dekhiye kuchh din wait kijiye welog kahi honge…jald
wapas ajayenge…
Nadir—sir bade ummid se aapke paas hum aya hun the…
PSI Baane—dekhiye itna jaldi ummid mat todiye…dhairya rakhiye…keep
patience…apke pariwar ke sabhi log balig hai…samjhdar hai wo apna khyal rakh
sakte hai…aap chinta mat kijiye…
Nadir—chinta to hogi sahib…pariwar bache jo gayeb hai…unka
ata-pata nahi hai…baap hun…chinta to hogi saheb…
PSI Baane—kuchh lead milta hai to apko contact karenge…
Nadir—thank you sahib….
He gets up…
ANCHOR LINK
Ek tv reporter ke prayas se laila khan aur uske pariwar ke gayeb
hone ka mamla prakash mein aya…tab laila khan ko apna beti kahne wala nadirshah
patel naam ka ek sakhsh police station pahucha… par waha police usko dharya
rakhne ki paath padhane lagi…. iss tarah ek pita ka dhairya rakhne ki pariksha
suru hogaya… uska pura pariwar gayeb tha… pariwar ka koi ata pata nahi tha…aur
police pita ke darkhwas ko serious nahi le rahi thi… fir police station ke
chakar katne ka duar suru ho gya…
(Nadirshah patel sitting in the waiting room of ohiwara police
station… anchor comes in)
nadir shah patel ko baar baar oshiwara police station bulaya jata
aur fir unko teen char ghante intezar karne baad ghar wapas bhej diya jata…is
darmayan police unko aswasan dene se bilkul nahi chukti thi… pita nadirshah
patel aswasan lekar ghar aa jate… ye sisila tab tak chalta raha… jab tak J&K
police ka ek team oshiwara nahi pahuchi….
AAge janiye kya hua laila ko, kaha gyi uski family, kisne mara laila khan ko..... Kon tha asif...
No comments:
Post a Comment